Qateel Shifai Poetry

2020. 2. 26. 14:19카테고리 없음

Qateel shifai poetryShifai

Sadma to hai mujhe bhi ki tujhse juda hun mailekin ye sochta hu ki ab tera kya hu maibikhra pada hai tere hi ghar me tera vajudbekar mahfilon me tujhe dhundata hu maimai Khudkushi ke jurm ka karta hu aitarafapne badan ki qabr me kabse gada hu maikis-kiska nam lu zaba par ki tere sathhar roz ek shaKhs naya dekhtaa hu maina jane kis ada se liya tune mera naamduniya samajh rahi hai ke sab kuch tera hu maile mere tajurbo se sabak aie mere raqeebdo chaar sal umr me tujhse bada hu mai. to post comments. Milkar Juda Huey To Na Soya Karenge HumEk Doosre Ki Yaad Mei Roya Karenge Humansoo Chalak Chalak Ke Sataayenge Raath BharMoti Palak Palak Mei Piroya Karenge HumJab Dooriyon Ki Yaad DiloN Ko JalayegiJismo Ko Chandni MeiN Bhigoya Karenge HumBan Kar Ik Bazm Ka Mauzu-e-GuftuguJismon Ko Chaandni Mein Bhigoya Karain Ge HumMajboriyon Ke Zeher Se Karlain Ge KhudkushiYe Buzdili Ka Jurm Bhee Goya Karain Ge HumDil Jal Raha Hai Zard Shajar Dekh Dekh KarAb Chahaton Ke Beej Na Boya Karain Ge Hum. to post comments. Tumhaari anjuman se uTh ke diwaane kahaaN jaateJo vaabastaa hue tum se voh afsaane kahaaN jaateNikal kar dair-o-kaaba se agar milta na maiKhaanaTo Thukraaye hue insaaN Khudaa jaane kahaaN jaateTumhaari beruKhi ne laaj rakh li baada-Khaane kiTum aaNkhoN se pilaa dete to paimaane kahaaN jaateChalo achchhaa huaa kaam aa gayee divaangi apniVagar na ham zamaane bhar ko samjhaane kahaaN jaate‘Qateel’ apnaa muqaddar Gham se be-gaanaa agar hotaTo phir apne paraaye ham se pahchaane kahaaN jaate. to post comments.

Apne haathon ki lakiron men basa le mujhkomain huN teraa nasib apnaa bana le mujhkomujhse tu puchhne aya hai wafa ke maaniye teri sada-dili maar na Daale mujhkomain samandar bhi huN moti bhi huN Gotazan bhikoi bhi naam meraa leke bula le mujhkotune dekha nahi aaine se aage kuchh bhiKhudaparasti men kahin tu na gaNva le mujhkokal ki baat aur hai main ab saa rahuN yaa na rahuNjitnaa ji chaahe teraa aaj sata le mujhkoKhud ko main baaNT na DaaluN kahii.n daaman-daamankar diyaa tune agar mere havale mujhko. to post comments. Duniya ne hum pe jab koi ilzam rakh diyahumne muqabil uske tera naam rakh diyaeik khaas hadd pe aa gai jab teri berukhinaam uska humne gardish-e-ayaam rakh diyamein larkarata raha hon tujhe dekh dekh kertunay tou mere samne eik jaan rakh diyakitna sitam-zareef hai woh saheb-e-jamaalusne diya jala ke lab-e-baam rakh diyaabb jis ke jee mein aaye wahi paye roshni,hum ne tou dil jala ke sar-e-aam rakh diya,kya maslehat-shanaas tha woh admi Qateel,majbooriyoN ka jisne 'wafa' naam rakh diya,. to post comments.

Qateel Shifai Poetry Images

Meri Zindagi too faraaq hai,wo azal se dil main makee'n saheeWo nigaaheshauq se door hain,ragejaa'n se laakh qaree'n saheeHamein jaan deni hai aik din,wo kisi tarah wo kahin saheeHamien aap khainchiye waar par,jo nahin koi tu hamee'n saheeSaretoor sarehashr ho,hamein intezaar qabool haiWo kabhi milein,wo kahin milein,wo kabhi sahee,wo kahin saheeNa ho un pe mera bass nahin, ke ye aashqi hai hiwas nahiMain unhi ka tha, main unhi ka hoon,wo mere nahin,tu nahin sahee. to post comments.